If you were wondering what kept me away from writing.
This is another of my group projects, a short film made for understanding cinema. A result of a lot of hard work, this movie has been a feat to achieve. Without the support of my group members and dear friends, this movie wouldn't be possible. Hina Thadani deserves a special mention as she was instrumental in writing the poetry too.
You will find Ali's poetry here:
Do wakht ki roti kamata hu,
Afsos nahi karta hu,
Jo kamatu hu wohi sahi,
kyunki mein kissi ka mohtaj nahi.
Aaj khomoshi hai,
Aaj tanhai hai,
Dil pe laga zakhm to hai,
Par woh hi sacchai hai.
Zindagi kiske liye?
Bandagi kiske liye?
Agar bantnewala koi na ho,
To har khushi kiske liye?
Sapno ka shehar hai,
Par bheed me akela,
Bhavnao ki lehar mein,
Hai uljhano ka mela.
Sarhado ke paar,
Ek zindagi dekhta hu,
Usse khushiyo ki yaadein mangta hu,
Ae khuda, kyun hai tanhai har tohfa tera?
Mangta hu mein sirf ek naya savera.
Khaali raaste the, khaali gufaein thi,
Khaalipan tha, kaali ghatayein thi,
Chalta jata tha mein issi umeed mein,
Ki kabhi toh soungaa khushal jivan ki chaav mein.
Aaj hua hai yakin,
Woh savera hai yahin,
Ab hui hai zindagi suhaani,
Kyunki apni yaari hai ruhani.
Yeh kismat ka khel toh dekho,
Zindagi ko aise mod par le aati hai,
Ki kuchh na hone ke bawajud bhi,
Puri kaynat mil jaati hai
Zindagi mein koi aata hai,
Ruh ko chhukar,
Rehnuma sa ban jata hai,
Yeh kismat ka khel to dekho,
Bas yaadein chhod jata hai.
No comments:
Post a Comment